Khudaya Khair Billu Barber Lyrics

Raaton-raat taara koi, chaand ya sitaara koi
Gire to utha lena, o, suniye re
Taara chamkeela hoga, chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena

Raaton-raat taara koi, chaand ya sitaara koi
Gire to utha lena, o, suniye re
Taara chamkeela hoga, chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena

Zara si saanwari hai vo, zara si baawri hai vo
Vo surme ki tarah meri aankhon mein hi rehti hai

Subah ke khaab se udaai hai
Palkon ke neeche chhupaai hai
Maano, na maano tum
Sote-sote khwaabon mein bhi khwaab dikhaati hai
Maano, na maano tum
Pari hai, vo pari ki kahaaniyaan sunaati hai

Khudaaya khair, khudaaya khair
Khudaaya khair, khudaaya khair

Raaton-raat taara koi, chaand ya sitaara koi
Gire to utha lena, o, suniye re
Taara chamkeela hoga, chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena

Tu hawa, main zameen, tu jahaan, main wahi
Jab ude, mujhe leke kyun udti nahi?
Tu ghata, main zameen, tu kahin, main kahin
Kyun kabhi mujhe leke barasti nahi?

Zara si saanwari hai vo, zara si baawri hai vo
Vo surme ki tarah meri aankhon mein hi rehti hai

Subah ke khaab se udaai hai
Palkon ke neeche chhupaai hai
Maano, na maano tum
Sote-sote khwaabon mein bhi khwaab dikhaati hai
Maano, na maano tum
Pari hai, vo pari ki kahaaniyaan sunaati hai

Khudaaya khair, khudaaya khair
Khudaaya khair, khudaaya khair

Jab daant mein ungli dabaae
Ya ungli pe lat liptaae
Baadal ye nichadta jaaye, o
Kuch kar ke vo baat ko taale
Jab maathe pe vo bal daale
Ambar ye sukudta jaaye, o

Vo jab naakhoon kutarti hai
To chanda ghatne lagta hai
Vo paani par qadam rakhe
Saagar bhi hat jaata hai

Subah ke khaab se udaai hai
Palkon ke neeche chhupaai hai
Maano, na maano tum
Sote-sote khwaabon mein bhi khwaab dikhaati hai
Maano, na maano tum
Pari hai, vo pari ki kahaaniyaan sunaati hai

Khudaaya khair, khudaaya khair
Khudaaya khair, khudaaya khair
Khudaaya khair, khudaaya khair
Khudaaya khair, khudaaya khair

LYRICAL: “Khudaya Khair” | Billu | Irfan Khan, Lara Dutta

Khudaya Khair Official Music Video
Share This Article

COMMENTS

Leave a review

Leave a Reply

CONTRUBUTE

Once logged into Kathmandux, you can effortlessly upload, edit, or delete your lyrics.