Banjaara Ek Villain Lyrics
[Verse 1]
Jise zindagi dhoondh rahi hai kya yeh vo maqam mera hai?
Yahan chain se bas ruk jaun, kyun dil yeh mujhe kehta hai?
Jazbaat naye se mile hain, jaane kya asar yeh hua hai
Ek aas mili phir mujh ko, jo qubool kisi ne kiya hai
[Chorus]
Kisi shayar ki ghazal, jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujh ko yun mila hai jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehr, ya sard mein dopahar
Koi mujh ko yun mila hai jaise banjare ko ghar
[Verse 2]
Jaise koi kinara deta ho sahara
Mujhe vo mila kisi mod par
Koi raat ka tara karta ho ujala
Vaise hi roshan kare vo shahar
[Pre-Chorus]
Dard mere vo bhula hi gaya, kuch aisa asar hua
Jeena mujhe phir se vo seekha raha
[Chorus]
Mmm, jaise baarish kar de tar, ya marham dard par
Koi mujh ko yun mila hai jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehr, ya sard mein dopahar
Koi mujh ko yun mila hai jaise banjare ko ghar
[Verse 3]
Muskata yeh chehra deta hai jo pehra
Jaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko to har dam saya deta hai
Vo dhoop mein hai khada khud magar
[Pre-Chorus]
Chot lagi hai use, phir kyun mehsoos mujhe ho raha?
Dil tu bata de kya hai irada tera
[Chorus]
Mmm, main parinda besabar, tha uda jo dar-ba-dar
Koi mujh ko yun mila hai jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehr, ya sard mein dopahar
Koi mujh ko yun mila hai jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar, jaise banjare ko ghar, jaise banjare ko ghar